Rasta hi naya hai, nah main anjaan bohat hoon,

Rasta hi naya hai, nah main anjaan bohat hoon,
Phir Kyun’malaamat mein hoon, nadaan bohat hoon,
Ik umar jisse Khawab Ki manind hi dekha,
Choone Ko mila hai toh pareshaan bohat hoon,
Mujh mein Kabhi aahat Ki tarha se Koi aaye,
Ik band gali Ki tarah sunsaan bohat hoon,
Uljhein K Kayi baar abhi lafz se mafhoom,
Saada hai bohat woh, nah main asaan bohat hoon..

No comments:

Post a Comment