Koi ghazal suna kar kya karna,

Koi ghazal suna kar kya karna,
Yoon baat bar’rha kar kya karna..?
Tum mery thy tum mery ho,
Duniya ko bata kar kya karna..?
Tum ehad nibhao chaahat sy,
Koi rasm nibha kar kya karna..?
Tum khafa bhi achy lagty ho,
Phir tum ko mana kar kya karna..?
Tery dar py aa k bethy hain,
Ab ghar bhi jaa kar kya karna..?
Din yaad sy acha guzry ga,
Phir tum ko bhula kar kya karna.

No comments:

Post a Comment