‘**…HAi jis kE pAas sArmaya,

‘**…HAi jis kE pAas sArmaya,
khAreedy jis qAdAr chAhy…**
.
.
**…SUna hAi Ab wAfAOn kA jumma
bAzaar lAgta hAi…**

‘Dil Se Na Nikalo Hume Ki Toot Jayenge Hum

‘Dil Se Na Nikalo Hume Ki Toot Jayenge Hum
Sabko Banaya Hai Humne Apna
Na Banaoo Tum Hume Ab Paraya
Dil Se Mere Har Koi Khela Hai
Na Khel Ki Toot Jayega Ab Ye Dil
Khilona Bana Diya Hai Mere Dil Ko
Mein Us Khilone Ki Gudiya
Hasna Na Aaye Mujhe
Fir Bhi Hassti Hoon Gum Chupane Ke Liye
Nakli Muskurahat Bana Rakhi Hai Sab Ko Kush Karne Ke Liye
Nahi Jeena Aaya Mujhe Kabhi Apne Liye
Ke Jeeti Aayi Hoon Mein Sirf Auro Ke Liye
Umeedein Jab Bhi Jaagi Hai Khushiyo Ke Liye
Har Baar Naumeed Huyi Hoon Apno Ke Liye
Bhool Ke Bhi Pyarr Karne Ki Bhool Nahi Hogi
Ke Lapata Huyi Hoon Mein Bewafaoo Ki Bheed Mein’

Mohabat khawab hoti hai,

Mohabat khawab hoti hai,
Mohabat baat hoti hai,
Ager koi pooch bethey to
mohabat raaz hoti hai,
Machalti hui umangon ka
sohana saath hoti hai,
Ager koi dhondna chahy to
mohabat nayab hoti hai,
Mohabat yun b hoti hai
kurbay zaat hoti hai,
Mohabat phool hai shayid!
Ghamon ki dhool hai shaid!
Ksi ka saath hai shaid!
Chamakti raat hai shaid!
Mohabat pur skøøn b hai.,
Mager!
Betaab hoti h’

Jane kya kuch usne hamko

Jane kya kuch usne hamko
bole bagair keh diya,
Hamara ho gya vo aur hamko
gair keh diya.

Saza de do khata ki hai

Saza de do khata ki hai
samajh k aapko apna,
hme maloom na tha sach
nahi hota koi sapna…

Maine akela hu phir bhi khush hu,

Maine akela hu phir bhi khush hu,
Kuch they apne jo paraye ho gaye,
Unki yado me akela hu phir bhi khush hu,
Na kuch paane ki chah, na kuch khone ka gham,
Mujse wafa bhi hue hai aur bewafa bhi hue hai,
Chand ne chandni chheen li,Suraj ne roshni chheen li
Andhero me rahta hu phir bhi me khus hu,
Jab aag lagi to barsat ne bhi saath na diya,
Jab mitti chadi to aandhi tufan ne bhi sath na diya,,
Kisi ke yaad me tanhayi me baithakar rota rahta hu.
Duniya ki bheed me akela rahta hu phir bhi khush hu

!Aur kuch B Nahi Chahta Me Apni

!Aur kuch B Nahi Chahta Me Apni
Is Fani Zindgi Me!!!
“Ya RAB-UL-izat”!
“Dua Hai k kisi k dukh ki waja
meri zat na ho.

Dard ki mehfil me ek sher hum bhi aarz kiya karte hai

Dard ki mehfil me ek sher hum bhi aarz kiya karte hai
Na kisi se marham Na duaon ki Ummed kiya karte hai
kayi chehre lekar log yaha jiya karte hai
hum in aasunao ko ek chehre ke liye peeya karte hai…

Great Words by (Allama Iqbal)

Great Words by
(Allama Iqbal)
Kya hua Jo tere Maathy
pe hain Sajdon k nishan.
Koi aisa Sajda bhi kr jo
Zameen pe Nishan Chor jae.

Nahin jo dil mein jagah to nazar mein rahane do

Nahin jo dil mein jagah to nazar mein rahane do
Meri hayaat ko to apane asar mein rahane do
Main apni soch ko teri gali mein chhod aayi
Mere wazood ko khwabon ke ghar mein rahane do

“Narazgi” mein KYa rakha he

“Narazgi” mein KYa rakha he
Kuch”Muhabbat” SE Chalna b Seekho…
Ye DUNIya NA Tera THikana he
na mera ghar…

Wo keh gaya hai

Wo keh gaya hai
“Mujhe Tum Se Mohabbat hai”
Ussay kiya maloom
ye lafzon main adda nahi hoti

Us Nazar ki tarf mat dekho

Us Nazar ki tarf mat dekho
Jo tumhe dekhne se inkaar karti hai.
Duniya ki bheed me us nazar ki taraf dekho.
Jo Sirf aur sirf tumhara intezaar karti hai…

‘Yeh Hijar Kya Hai

‘Yeh Hijar Kya Hai
Wisaal Kya Hai
Yeh Gardish-o-Maho Saal Kya Hai
Ye Jumla Rasmi Sahi Magar
Tum Meri Jaan
Kabhi To Poocho
Ke Haal Kya Hai’

Zindgi aa beth zara baat to

Zindgi aa beth zara baat to
sun…!
Yaar say larr bathe Hun koi
Mashwra to dy….!!!

Jindagi bahut kuch sikhati hai,

Jindagi bahut kuch sikhati hai,
Kabhi hasati hai kabhi rulati hai,
Khud se bhi jyada kisi par vishwash mat karna,
Kyuki andhere mein toh parchai
bhi saath chod jati hai…

Dard Meri Pehchaan Hai Jo Mai Khona Nahi Chahta.

Dard Meri Pehchaan Hai Jo Mai Khona Nahi Chahta.
Dard Bahot Hai Par Rona Nahi Aata.
Kahta Hu Halae Dil,
Par Unhe Mujhpe Yakeen Nahi Aata…

Jo ho ijaazat to tum se

Jo ho ijaazat to tum se
ik baat poochn
jo hum ne ishq seekha tha wo
ab tum kiiiissss se krte ho……

Khushion se naraz hai meri zindagi

Khushion se naraz hai meri zindagi
Pyar ki mohtaz hai meri zindagi
Has leta hoon logon ko dikhane ke liye
Varna dard ki kitaab hai meri zindagi….

“Pyar karne ke liye to ye zindagi

“Pyar karne ke liye to ye zindagi
kam pad jati hai,
pata nahi log nafrat ke liye kaisz
waqt nikalte he”

Hume Bhi Pyaar Karne Ka Khayal Aaya,

Hume Bhi Pyaar Karne Ka Khayal Aaya,
Jub Bhi Yeh Khayal Aya Khud Ko Akeala Paya,
Dhoonte Rahe Is Duniya Main Humsafar,
Kisi Ko Dhoke Baaz, Kisi Ko Bewafa Hi Paya…

Kin Lafzoon Mein Bayan Karoon Apnay Dard Ko . . .!

Kin Lafzoon Mein Bayan Karoon Apnay Dard Ko . . .!
Sun-nay Walay To Bohat , Han . . .!
par
Samajhnay Wala Koi Nahin . . . :

‘Misaal-e-Maoj-e-Hawaa Darbadar Woh Aysa Tha

‘Misaal-e-Maoj-e-Hawaa Darbadar Woh Aysa Tha
Bechar Kay Pher Na Mila, Humsafar Woh Aysa Tha,
Khud Apne Sar Liyaa Elzaam-e-Bewafi Tak
Kaha Na Kuch Bhi Usay, Mutbar Woh Aysa Tha,
Usay Basaaye Howe Thi Balaa Ki Veraani
Diyaar-e-Hijar Mein Abaad Ghar Woh Aysa Tha,
Kay Jaise Chaand Musafat Se Maand Par Jaaye
Pas-e-Ghilaaf-e-Gubaar-e-Safar Woh Aysa Tha,
Na Dosh-e-Ehl-e-Hakam Par Na Zer-e-Taaj-e-Shahi
Sinaa Ki Nok Par Jachta Tha Sar Woh Aysa Tha,
Bas Ek Khawaab Ne Neenden Nachor Li Apni
Samaa Giya Meri Nas Nas Mein, Darr Woh Aysa Tha,
Lahu Lahu Meri Aankhen, Hain Taar Taar Qaba
Kay Haadsaa Hi Meri Jaan Magar Woh Aysa Tha,
Zameen Pe us kay Kate Bazu`on Ka Saaya
Adow Kay Saamne Seena Sapar Woh Aysa Tha,
Us Ka Kaam Tha Zakhmun Ki Parwarish “Mohsin”
Usi Kay Naam Dua, Charagar Woh Aysa Tha.’

“Insan Ki Fitrat Ko Samajhtay Hain To

“Insan Ki Fitrat Ko Samajhtay Hain To
Sirf Parinday…!
“_GaMeR_BoY_ ”
Jitna Bhi Mohabbt Say Bulao Magar Paas
Nahi Aatay…!!

Tujhe bhoolna bhi chahoon to bhulaoon kaise..

Tujhe bhoolna bhi chahoon to bhulaoon kaise..
Teri yaad se apna daaman chhudaoon kaise..
Meri har khushi, har muskaan mohtaaz hai teri..
Tujhko iska ehsaas dilaoon kaise..
Badal ke meri Zindagaani, tu mujhse juda jaye..
Tujhe kho dene ki kasak dil se mitaoon kaise..!!

Ay tabeeb ab to ker de dard-e-dawaa-e-dill

Ay tabeeb ab to ker de dard-e-dawaa-e-dill
agli baar toba hum mohabbat na kren gy..!!!

Ik mulaqat thee jo Dil ko Sada Yad

Ik mulaqat thee jo Dil ko Sada Yad
rahi! !
May jisay umer samajhta tha woh
ik Pal nikla

Zindgi Di He Khuda Tune

Zindgi Di He Khuda Tune
Ab Jeene Ka Hunar De
Jo Bakshe He Pair To
Tohfa-e-Safar De
Zuba To Baksh Di Tune Muje
Par Ab
Meri Duao Me Asar D

Shikayat Kya Karon Dono

Shikayat Kya Karon Dono
Taraf Gham Ka Fasana Hai,
Tere Aage Mohobbat Hai
Mere Aage Zamana Hai …!!

Anjam Ki Parwa Hai To Ishq

Anjam Ki Parwa Hai To Ishq
chor Dy.
“_GaMeR_BoY_”
“Ishq Mein zid Hai Aur Zid mein jaan
Bi Chali Jati Hai….!

Waqt kabhi bewafa nahin hota,

Waqt kabhi bewafa nahin hota,
har dil bura nahin hota,
sonchte hain jo dusre k liye accha,
unhe khud ki khubiyo ka pta nahi hota…

Agar Tu Baadshah Hota..

Agar Tu Baadshah Hota..
Tou Koi Baat Bhi Hoti
Suna Hai Baadshahon ko. .
Dein Aagar Koi Nazrana
Jo Sab Chezon Se Barh Kar Ho
Tou Apni Baadshahi Ko
Luta Dete Hain Akser Wo
Mohabbat Hai Humare Paas . .
Magar Tu Baadshah Kab Hai ?

Poetry SMS

Galatiyon Se Juda Tu Bhi Nahi, Mai
Bhi Nahi,
Dono Insaan hain, Khuda Tu Bhi
Nahi, Mai Bhi Nahi … !
” Tu Mujhe or Mai Tujhe Ilzaam Dete
Hain Magar,
Apne Andar Jhankta Tu Bhi Nahi, Mai
Bhi Nahi ” … !!
” Galat Fahmiyon Ne Kar Di Dono Mai
Paida Dooriyan,
Warna Fitrat Ka Bura Tu Bhi Nahi,
Mai Bhi Nahi ” … !!!
Apne Apne Raston Pe Dono Ka Safar
Jaari Raha,
Ek Lamhe Ko Ruka Tu Bhi Nahi, Mai
Bhi Nahi … !!!!
” Chahte Dono Bohut Ek Doosre Ko
Hain Magar,
Ye Haqiqat Maanta Tu Bhi Nahi, Mai
Bhi Nahi ” …

Main Logon Se Mulaqaton K Lamhe Yaad Rakhta Hun,

Main Logon Se Mulaqaton K Lamhe Yaad Rakhta Hun,
Main Batain Bhool B Jaon To Lehjay Yaad Rakhta Hun
Zara Sa Hatt K Chalta Hon Zamany Ki Riwayat Se,
K Jin pe Bojh Main Dalon Wo Kandhy Yaad Rakhta Hun

Us Ne Samjha Hi Nahi Aur Na Samjhna Chaha ,

Us Ne Samjha Hi Nahi Aur Na Samjhna Chaha ,
K Mein Chahti Bhi Kiya Thi Us Se , Sirf Us K Siwa ,

Ye Ansoo Ye Ghum Km Nhin Hongy…..

Ye Ansoo Ye Ghum Km Nhin Hongy…..
Ye Yaadain Ye Lmhy Hr Pal Nhin Hongy..
Bant Lo kuch Pal Hmare sath kushi Se.
Boht Yad Kro gy Jb Hm Nhin Hongy…

Baith Jata Hun khaak pe

Baith Jata Hun khaak pe
Aksar
“_GaMeR_BoY_”
Kabi Kabi Oqaat Achi Lagti
hai…..

Logon Ne Kaha Ki Main Sharabi Hoon,

Logon Ne Kaha Ki Main Sharabi Hoon,
Maine Kaha Unho Ne Ankhon Se Pilaiee Hai.
Logon Ne Kaha Ki Main Ashiq Hoon,
Maine Kaha Ashiqi Unho Ne Sikhaiee Hai.
Logon Ne Kaha Sumit Tu Shayar Dewana Hai,
Maine Kaha Unki Mohabbat Rang Laiee Hai….

Ghazal SMS ( Sad )

“Mein ne to bohat chaha magar wo mila he nahi …
Laakh koshish ki magar fasla mita he nahi…
Us ko majboor zamane ne is kadar kar diya k…
Meri kisi saada par woh thehra he nahi…
khuda se jholi pehla kay manga tha usay …
Khuda ne meri kisi dua ko sunna he nahi…
Har aik se pucha sabab us kay na milne ka …
Har eik ne kaha woh tere liye bana hi nahi…!!

Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa Deh

Gungunatay Hue Anchal Ki Hawa Deh
Ungliyaan phair Ke BAloon Main Sulla Deh Mujh Ko
Jis Tarah Faltu Guldaan Paray Rehtay Hain
Apne Ghar Ke Kisi Konay Se Lagga Deh Mujh Ko
Yaad Kar Ke Mujhe Takleef He Hoti Hogii
Aik Kissa Hoon Purana Sa Bhulla Deh Mujh Ko
Doobtay Doobtay Awaaz Teri Sunn Jaoon
Akhiri Baar Tu Sahil Se Sadah Deh Mujh Ko
Main Tere Hijr Main Chup Chaap Na Marr Jaoon Kahin
Main Hoon Saktay Main Kabhii Aa Ke Rulla Deh Mujh Ko
Dekh Main Hogaya Badnaam Kitaboon Ki Tarah
Merii Tasheer Na Kar Ab Tu Jalla Deh Mujh Ko
Rhootna Tera Meri Jaan Liye Jata Hai
Aesay Naraaz Na Ho Hans Ke Dekha Deh Mujh Ko
Aur Kuch Bhi Nahi Manga Mere Malik Tujh Se
Us Ki Galiyoon Main Parii Khaak Banaa Deh Mujh Ko
Log Kehtay Hain Ke Yeh Ishq Niggal Jata Hai
Main Bhi Is Ishq Main Aya Hoon,Dua Deh Mujhe Ko
Yahi Okaat Hai Meri Tere Jeevan Mein Ke Main
Koi Kamzoor Sa Lamha Hoon, Bhulla Deh Mujh Ko
:-( :-(

Shaam e Gham Ki Qasam

Shaam e Gham Ki Qasam
Aaj GhamgEen Hain Hum
Aa Bhe Jaa Aa Bhe ja Aaj Meray Sanam
Dil PreShan Hai Raat Veeraan Hai
Dekh Ja Kis Trah Aaj tAnhA Hain Hum
Shaam e Gham Kii Qasam
Khail Kaisa Jo PehlOo Mein tOo Hi Nahien
Maar Dalay Na dArd e jUdaii Kahien
Rut HaSEen Hai To Ko Kya Chandni Hai To Kya
Chandhi Zulam Hai Or jUdaii Sitam
Shaam e Gham Ki Qasam
Ab To Aaja K Ab Raat Bhe So Gaii
Zindgi Gham K Sehraon Mein Kho Gaii
DhOondhatii Hai Nazar tOo Khaan Hai Magar
Dekhtay Dekhtay Aaya AankhOn Mein Nam
Shaam e Gham Ki Qasam
:-(
:-(

EK roz juda ho jaon ga,

EK roz juda ho jaon ga,
Na jane kahan kho jaon ga,
Tum lakh pukaro gay muj ko,
Par lot k main na aon ga,
Jab atay jatay chehron mein,
Tum chehra mara na pao gay,
Takh har k din k kamo say,
Jab rat ko sony jao gay,
Dekho gy jab phone ko,
Pegham mara na pao gay,
Tab yaad tumhain main aon ga,
Per lot k main na aon ga.
Ek roz yay rishta chootay ga,
Dil itna zayada toty ga,
Phir koi na hum sy rothe ga,
Main na ankhein kholun ga,
Tum sy kabhi na bolun ga,
Akhir us din tum roo do gy,
Tum apna Dost Kho do gy.

Ab Keya Likhein Kagaz

Ab Keya Likhein Kagaz
Par Ab Likhne Ko Keya
Baqi Hy?
Ek Dil Tha Vo Tot Gaya
Ab Totne Ko Keya Baqi
Hy
Ek Shakhs Ko Humne Chaha
Tha ,Rait Pe Naqsh Banaya
Tha,
Vo Rait To Kb Ki Bikhr Gae
Vo Naqsh Kaha Ab Baqi Hain,
Hum Jin Ko Apni Nazmo Ka
Unwan Banaya Karty Thy
Lafzo Ka Bana K Taj Mehal
Kagaz Per Sajaya Karty Thy
Vo Hum Ko Akela Chor Gya
Sub Rishto Sy Moun Mor Gaya
Ab Rishty Sare Sonein Hain
Vo Pyar Kahan Ab Baqi Hy
Ab Keya Likhein Hum Kagaz
Par Ab Likhny Ko Keya Baki
Hy?

* Usy Bana Kr Ghazal Mein

* Usy Bana Kr Ghazal Mein
Subh-o-Sham Likhta Raha
Haqeeqat Ki Her Gari Mein
Usy SALAM Likhta Raha
Wo Meri MUHABAT Ko Mera
Junoon Samj Betha
Main NAAM-e-MUHABAT Ko
Bar BAr Likhta Raha
Kar Lo IQRAR-e-DIL Lagi
Muj Se Yay Kaha, Us Se
Main Ny
Ajab Shakhs Tha Muje He
BEWAFA Likhta Raha
Uski ARZU Yay Thi K
“BHUL JAO MUJE”
Main Her DIWAAR par
ISHQ Ki Intaha Likhta Raha
ZULM Sehan Hi Tu ISHQ Ki
MIRAAJ Hy
Wo Badnaam Krta Raha Main
NADAAN Likhta Raha.

Milta Gham To Barbadi

Na Milta Gham To Barbadi
K Afsany Kahaan Jaty,
Ager Dunya Chaman Hoti
To Veerany Kahaan Jaty,
Chalo Acha Howa Apnoon
Mein Koi Ghair To Nikla,
Sab Hoty Ager Apny To
Begany Kahaan Jaty,
Tumhi Ny Gham Ki Dolat
Di… Bara Ehsan Fermaya,
Werna Hum Yeh Apne Haath
Phelany Kahaan Jaty.,.

Kabhi Mehrban Tha Tu

Kabhi Mehrban Tha Tu
Kabhi Anjan Tha,
Mera Weham Tha Ya Wo
Ya Mera Guman Tha,
De Kr Zakhm Wo
Marham Rkhta Tha,
Ban Raha Tha Yay
Waqi Itna Nadan Tha,
Mujh Sy Bichr Gaya
Tha Wo 1 Raat,
Wo Shaks Jo Meri
Pehchan Tha,
Kash K Wo Mil Jata
Hum Ko Humdam,
Kitna Es Dil Ko Es
Baat Ka Arman Tha,
KHUDA Ko Chahty To
Kuch Mil Jata,
Hum Ny Chaha Tha Jise
Wo Tu 1 Insan Tha.

Wo Pyar Ka Sabot Dikhaya

Wo Pyar Ka Sabot Dikhaya
Karta Tha
Ansu Baha Kr Humein Manaya
Karta Tha
Yay Zindage Sirf Tum Sy
Wabasta Hy.
Aksar Yay Bat Humein Bataya
Karta Tha
Us Ki Baton Mein Kuch Aisa
Asar Tha,
Main Barish K Bina Hi Bheeg
Jaya Karta Tha,
Sone Ki Fursat Ksie Thi.
Wo Humein Sari Rat Jagaya
Karta Tha,
Becheni Jb Had Sy Bhar Jati
Thi,
Wo Jee Bhar K Gale Lagaya
Karta Tha.
Wo Itni Muhabat Karne Wala
Badal Gaya.
Jo Her Bat Par Meri Qasam
Khaya Karta Tha..