‘Misaal-e-Maoj-e-Hawaa Darbadar Woh Aysa Tha

‘Misaal-e-Maoj-e-Hawaa Darbadar Woh Aysa Tha
Bechar Kay Pher Na Mila, Humsafar Woh Aysa Tha,
Khud Apne Sar Liyaa Elzaam-e-Bewafi Tak
Kaha Na Kuch Bhi Usay, Mutbar Woh Aysa Tha,
Usay Basaaye Howe Thi Balaa Ki Veraani
Diyaar-e-Hijar Mein Abaad Ghar Woh Aysa Tha,
Kay Jaise Chaand Musafat Se Maand Par Jaaye
Pas-e-Ghilaaf-e-Gubaar-e-Safar Woh Aysa Tha,
Na Dosh-e-Ehl-e-Hakam Par Na Zer-e-Taaj-e-Shahi
Sinaa Ki Nok Par Jachta Tha Sar Woh Aysa Tha,
Bas Ek Khawaab Ne Neenden Nachor Li Apni
Samaa Giya Meri Nas Nas Mein, Darr Woh Aysa Tha,
Lahu Lahu Meri Aankhen, Hain Taar Taar Qaba
Kay Haadsaa Hi Meri Jaan Magar Woh Aysa Tha,
Zameen Pe us kay Kate Bazu`on Ka Saaya
Adow Kay Saamne Seena Sapar Woh Aysa Tha,
Us Ka Kaam Tha Zakhmun Ki Parwarish “Mohsin”
Usi Kay Naam Dua, Charagar Woh Aysa Tha.’

No comments:

Post a Comment