Yahan pal pal jalna parta hai

Yahan pal pal jalna parta hai
Har rang mein dhalna parta hai
Har mor pe thokar lagti hai
Har haal mein chalna parta hai
Har dil ko samjhne ki khatir
Bas khud say larna parta hai
Kabhi khud ko khona parta hai
Kabhi chup k rona parta hai
Kabhi neend na aye phoolon pay
Kanton pay b sona parta hai
Kabhi mar k jeena parta hai
Kabhi jee k marna parta hai
Kabhi to khushiyan loat k ayen gi
Es aas pay jeena parta hai…!

No comments:

Post a Comment