Meri zindagi ko ik tamasha

Meri zindagi ko ik tamasha bana dia uss ne,
Bhari mehfil me tanha bitha dia us ne,
Aisi kya nafrat thi usay is masoom dil se,
Khushian chura kar gham thama dia us ne,
Bohat naaz tha uss ki wafa pe kabi ham ko,
Mujh hi ko meri nazron me gira dia us ne,
Khud bewafa tha meri wafa ki qadr kia karta,
Anmol tha main khak me mila dia us ne,
Kisi ko yaad karna to us ki fitrat me nahi,
Hawa ka jhonka samajh kar bhula dia us ne.

No comments:

Post a Comment